Sunday, July 17, 2011

Toh Zinda Ho Tum....!!

Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho.

Toh zinda ho tum!

Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum!

Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna sikho

Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna sikho

Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein

Har ek pal ek naya samaa dekhiye

Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum!

Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum!!!

No comments:

Post a Comment